Khuda K Ghar Ka Safar


16 June ,2011 takreeban 3 saal 2 mahinay k baad aik baar phir Alhamdulillah Allah nain Umra karnay ka sharf bakhsha.

Waisay main koi likhari to nahi hoon laikin shayid koshish kar sakta hoon k jo manazer aur jazbaat khud main aur apnay doston main dekhey iss safar k doran unn ko lafzon main byaan kar sakoon.

Kareeban 9 dinon k lambay intazar k baad hamein hamarey passport miley jin par Umra ka visa lag chuka tha aur ham sab ab Khuda k ghar k safar k liye rawana honey ko tyaar thay.Khushi aur ghabrahat sab k chehron par thi ham mein say 3 loug pehli dafa yey sa'adat hasil karnay walay thay issi liye hathon main Umra k masail aur unn k hull ki kitaab uthaye huey thay.

Doston ko milnay k baad aur zaroori cheezein jo safar k duraan kaam aa sakti theen unn ki mojoodgi ki tassali kar lainay k baad sab nain Allah k naam say safar shuru kia shayid dupeher ka waqt tha khana sab kha chukey thay iss liye mazeed bhook na honay ki waja say apnay pehlay stopover ki jaanib barhey jo k Saudia Border tha rastey main kuch aik maqamaat par ruknay ka moqa bhi mila aur phir takreeban 9 bajay raat ko akhir kaar ham immigration control room main puhanch chukey thay jahan Abu Dhabi immigration say apnay passport par Exit ki stamp lagwana maqsood tha.

Passports par stamps lagwa lainay k baad ham sab ab Saudia Arabia ki hadd main dakhil ho rahey thay thakawat bhi buhut ho chuki thi laikin himmat abhi bhi jawan thi aur shoq-e-ziarat har pal sath dey rahi thi.Allah Allah kar k yeh muaamlat huey aur ab ham baqaida Saudia ki hadood main dakhil ho chukey thay car main petrol dalwa lainay k baad hamarey aik qareebi dost jin ko bhook par bilkul bhi compromise nahi karna aata unn ki pichli nishist say awazein anay lag gyeen aur sath hi unn ki bhi suni gyee jo abhi khanay ki tammana zahir nahi kar rahay thay.

Khana kha lainay k baad hamara agla parao Saudia ka Shehar Riyadh tha driving seat par ab main beth chuka tha aur pehla kilometers batanay walay board nain khud par "Riyadh 576 Km" likha hua tha jisko dekhtay hi thakawat ka zor aur zor pakar gya laikin safar to karna hi tha musaafat taweel thi aur waqt raat ka tha door door tak kuch nazar nahi aata tha maa siwaye andherey k ya phir kuch aik gaarian jo intihai barq raftari say paas say guzar jatee theen.

Sabhi doston ki haltein naazuk ho chuki theen shayid kaafi arsay baad itnay lambay safar par nikley thay halaat klo madd-e-nazar rakhtey huey faisla yeh tay paya k Riyadh main kuch der araam kar lein phir shuru kiya jaye safar kher safar kat'ta gya aur waqt guzarta gya aur kuch subah k 4 bajay k kareeb ham Alhamdulillah Riyadh puhanch gye aur thori hi der main aik guest house ka intikhaab kar liya , sabhi thak chukey thay aur ankhon main neend ka nasha sa dikhayee deta tha sab ka laikin ba himmat ho kar sab nain Fajar ki namaz ada ki aur phir Juma ki namaz say kuch der pahlay hi uthey aur Juma ki namaz ada ki hamarey aik dost jis ka zikar uper bhi aya tha k woh bhook par compromise nahi kartey thay iss liye khana kha lainay k baad hi safar kiya jaye tay paya ab ham Makkah ki taraf rawan thay.

Riyadh say Makkah ka safar kareeban 850 KM bataya jata hai laikin ab hamarey liye shayid itni taweel musafat adat banti ja rahee thi ya phir Manzil kareeb aa rahee thi to himmat barhti ja rahee thi kher yeh safar choonkay dupeher ka tha iss liye rastey k manzar dekhnay ko milye dhoop aur door draaz tak phela hua registan kahin kahin choti choti paharian aa jateen thi laikin khushk aur chatteel safar lamba tha to rastey main kuch der rukna mamool tha jis main namaz ada aur chaiye nosh ki jatee rahi laikin ham mein say 2 loug aisay bhi thay jinka kahna tha k rastey main to neend hi nahi aati halan kay haqeeqat iss k bar aks thi.

Raat k 8:50 ho rahey thay jab ham Tai'f k ilaaqay main dakhil huey jahan Meeqat (Woh Jaga Jahan say Bila Ahraam Makkah ki Hadd  main dakhil hona mana hai) puhnchey Gusal k baad Ahraam aur uss k Nawafil ada kar lainay k baad ab agla parao Makkah ki zameen thi jahan Umra ka fareeza anjam dena tha , ab jo safar tha woh shayid 1 say dedh ghantay ka reh gya tha , dilon ki dharkanein aur ghabrahat barh rahee thi sab nain aik baar apasa main Umra k masail ki duhrai ki aur khaas baat yeh k sab nain doosrey sathion say apnay Gunahon ki maafi talab ki aur Labbayk Allah Huma Labbayk..... parhety huey Makkah ki taraf  barhnay lagay , Makkah ki hadd main dakhil honay say pahlay aik check post ati hai jahan rukna lazmi hota hai.

Raat k takreeban 11 bajnay ko thay aur ham hadood-e-Makkah main dakhil ho chukey thay car park kar lainay k baad ham sab Kaa'ba ki taraf chalnay lagay manzil kareeb aa rahee thi aur muhabbat aur josh pakar rahi thi umeedon aur duo'on ka silsila barhnay laga woh dost jo pahli baar iss Ziyaarat say mustfeed honay ja rahey thay kuch pehlay ruk gye ta k ham Kaa'ba shareef k raastey ka ta'yun kar lein aur woh log uss baat ki tassali kar lein k jo dua'in Allah k ghar par pahli nazar partey hi mangi jayein zaroor puri hoti hain.

Main aur aik aur dost jo pahlay bhi Umra ki saa'dat haasil kar chukey thay agay thay aur ja kar pahlay Allah k ghar ki ziyaarat ki aur woh sab duain jo apnay,rishtey daron aur doston k liye mangna theen honton say beger kisi intazar k parhi janay lageen Subhaan Allah woh kya manzar hai main ya shayid koi bhi lafzon main bayan na kar sakey, har taraf noor ki baarish ho rahee thi jahan dekho log ro ro kar sajdon main gir rahey thay shayid ehsaas-e-Khuda aur khof-e-khuda peda ho raha tha.Kuch hi der main doosrey dost bhi sath ho liye aur duaon ka silsila jari raha.Duai'n maag lainay k baad Umra k arkaan pura karna trhay jo Alhamdulillah buhut Khush asloobi aur shaistagi say ada ho gye aur kuch 1:30 par sab ahbaab Alhamdulillah fareeza-e-Umra ada kar chukey thay sab k chehron par khushi aur itminaan ki lehar dor rahee thi aur Khuda ka shukar kasarat say ada kia ja raha tha.Khuda sab musalmanon ko Uss k ghar ki Ziyarat naseeb farmaye Ameen.

Umra ada karnay k baad sab ko thakawat ka ahsaas bhi honay laga jo k duran-e-Umra kisi ko nahi hua tha kuon k safar ki thakawat thi aur khana bhi nahi khaya tha to yeh tay paya k Khana kha liya jaye aur phir koi acha sa hotel dekh kar saman rakh dein aur Wapis Fajar ki namaz ada karnay Harm-e-Pak main aa jayein yahan ab silsila thora alag ho gya aik dost jin par merey dusrey dost aitmaad yeh rakhtey thay k woh Makkah k raston say waqif hain yeh saabit karnay main baar haa nakam rahey aur khana hamein 2 ghantay sirf sarkon par ghoomnay k baad ussi hotel k neechay waley restaurant say mila jahan ham qayaam karnay walay thay.Yeh woh 2 ghantay thay jo shayid sab ko yaad rahein gay aur ussi waqt hamari gari ki pehli bemari ka luka chupa sa inkishaaf bhi hua jo k baad main hall ho gya aur sab nain Alhamdulillah parh kar hotel ka rukh kia.

Raat kaisi guzri uss ka to andaza bhi nahi tha aur kisi ko yaad bhi nahi itni pur sakoon neend shayid pehlay nahi ayee thi.

Alhamdulillah zindagi ka aham fareeza anjam pa chuka tha laikin abhi bhi buhut see aisi cheezein dekhna baqi theen jin k barey main ham sab bachpan say parhtey aa rahey hain aur ab jab unn ko haqeeqat main dekhnay ka moqa milnay wala tha to kaisay rok saktey thay khud ko, jee ab unn tamam jaghon ki zyarat ka waqt tha jo jazba-e-imani ko aur taaza karnay wali theen, to phir yeh tay paya k Asar ki namaz parh k nikla jaye.

Makkah k sath hi pehli jaga who ayi jahan Kaafir uss dour main apni betion ko zinda dafan kar detey thay iss jagah ko zyarat to nahi kahun ga haan laikin ibrat ka muqaam zaroor kahun ga kuon k sunnay main aya hai k ain uss muqam par jab Saudi hakoomat nain tameyraati kaam karnay ki koshish ki to khudayee k waqt wahan say khoon nikalnay lag gya aur tab say hakoomat nain uss jaga par tamaam tar tameyraati kaam rok kar uss ko mazboot deewaron say gher diya, us jaga ko ab sirf bridge say guzartey huey dekha ja sakta hai.

Hamari pahli zyarat Arafaat ka who maidan tha jahan har saal aazmeen-e-Hajj parao daltey hain aur shayid maidan-e-Arafaat hi hashar ka medan ho qayamat k roz laikin iss k barey main kuch aitmaad say nahi kaha ja sakta kher Arafaat k sath hi Jabl-e-Rehmat hai jahan Hazrat Adam (AS) ki maafi qubool huee thi aur Hazrat Amma Hawa say unn ki mulaqat huee. Jabal-e-Rehmat aik khaas unchayi par hai aur wahan say Makkah ka bahri ilaaqa saaf dikhayee deta hai kahin meydaan hain to kahin sanglakh chattanein hain Arafaat main shajarkaari ki gyee hai jis ko badolat buhut say darakht dekhnay ko miltey hain jo baqaeeda aik kitaar main lagaye gye hain.

Jabl-e-Rehmat say wapsi par sab ko pyas lag gyee shayid yeh kisi ko routine main nahi tha k itni si unchayee par mamool main charha jaye iss liye wahan khari tuck shop van say ham nain paani liya aur agay barh gye, bhala ho uss Pakistani taxi walay ka jo na sirf hamein mukhtalif zyarton par lay ja raha tha balkay unn ki tareekh k barey main bhi khabar deta ja raha tha taxi main bethey bethey ham Makkah k mazafat say guzar rahey phir taxi waley ki awaz ayi k who dekhein samnay woh jaga hai jahan Shetan Khabees ko Hajj k duran pathar marey jatey hain tajassus to sab main hi tha k who jaga lazmi dekhi jaye iss liye 2-5 min ham loug wahan rukey  uss k kareeb hi Masjid-e-Khaif jahan peshtar Sahaba ko dafnaya gya aur koi shak nahi k who jaga apnay andar aik azeem hesiat rakhti hai.

Makkah k beyrooni ilaaqon say hotey huey rastey main hamein Gaar-e-Sour dikhaya gya jo k kafi bulandi par hai iss liye guzartey hi dekh paye yeh who jaga hai jahan Huzoor Pak (SAW) nain Madinah hijrat k waqt dushmaon say chup kar panah li thi.

Gaar-e-Sour say thori hi door Gaar-e-Hira aata hai aur woh bhi kafi bulandi par hai merey khayal say sab parhnay walay ko iss muqaam ki haqeeqat ka andaaza hoga hi yeh who jaga hai jahan Huzoor Pak (SAW) ibaadat k liye jatey thay aur pehli wahi bhi Unn par wahin naazil huee thi.Ab to Gaar-e-Hira tak janay k liye aik khas muqam k baad steps bana diye gye hain aur rastey buhut si bethnay ki jaghein bhi ban chuki hain laikin jis waqt Nabi (SAW) jatey houn gay tab kitni dushwari say jatey houn gay aur utartey houn gay beyshak ham uss mushkil ka andaza nahi kar saktey Musalmanon ki behtri k khatir Nabi (SAW) nain kitni mushkilaat uthayeen yeh unn jaghon ko dekhnay k baad aur zyaada wazeh hota hai.Khuda ham sab ko Islam par qaim rehnay ki taoufeeq ata farmaye Ameen.

Gaar-e-Hira ko uper ja kar dekhnay ki tamanna iss dafa bhi puri na ho saki kuon k waqt aur himmat dono hi kamm thay jis k liye dua hai k Khuda jab agli baar mouqa dey Uss k ghar ko dekhnay ka to yeh khushnaseebi bhi hamarey muqaddar main likh dey k ham Nabi (SAW) ki ibadat gaah bhi dekhein ameen.

Wapsi par Makkah k kareeb hi Masjid-e-Jinn hai jahan Huzoor Pak (SAW) Quran ki talawat kartey thay aur Jinn ghera daal kar barey shouq say sama’at kartey thay iss Masjid ko ham sirf bahir say hi dekh paye.Waisay to Makkah ki har jaga hi Zyarat hai laikin jitni ham dekh sakey Alhamdulillah dekheen aur wapis Masjid-e-Harmm aa gye agli Manzil Madinah thi aur kuon k Madinah say wapsi par Makkah nahi aana tha iss liye Al widayee Tawaf ka iraada kar k sab Khaana Kaa’ba ki taraf chaley gye aur phir pata nahi kab yeh mouqa miley Kaa’ba ki deewaron say lipat kar ronay ka , apnay gunahon aur unn sab ki maghfirat karwanay ka jo iss duniya main hain ya ja chukey hain  sab Tawaf k liye chal diye.

Raat ka khana kha kar ham loug Madinah ki taraf nikal parey jo Makkah say kuch 450 KM door hai aur shayid 5-6 ghanton ki musaafat banti hai.Rastey main ham nain 2-4 jaga kuch minton ka qayaam kia aur phir akhir kaar subah k 4:30 bajay k kareeb Madinah puhanch gye subah ki roshni phoot rahi thi safar ki thakawat bhi thi to bus foran hotel dhoondnay lagay aur kuch hi der main Madinah ki aqbi taraf hamein aik acha Hotel mil gya sab nain Namaz-e-Fajr parhi aur so gye kuon k Zuhr ki namaz Masjid-e-Nabwi (SAW) main parhna thee.

Madinah ka ilaaqa Makkah ki nisbat kushaada hai aur aik had tak meydaani hai Zuhr ki namaz Alhamdulillah Masjid-e-Nabwi main ada ki aur Nabi (SAW) k Roza-e-Mubarak par hazri di,logon ka hujoom barpa tha aur sab main sirf yehi shouq tha k uss muqaddas jaali ko choo lein k jis k andar dono jahan ki rehmat har lahza barasti hai.Sab ki zubanon par durood ka wird jaari tha aur kuon na k yeh bhi Khuda ka shukar baja laanay ka aik amal tha.Sab ahbaab ko Riaz’t-ul-Jannah main nawafil ada karnay ka moqa bhi mila iss muqaam k barey main kaha jata hai k yeh zameen ka hissa Jannat say aya hai har shakhas ki wahan yehi khuaahish hoti hai k wahan nawafil zaroor ada karey.

Alhamdulillah Madinah main haazri bhi ho chuki thi aur neend bhi puri thi to Madinah ki zyartein dekhnay ka sahi waqt tha iss liye waqtr na zaya kartey huye ham nain uss taxi ki talash shuru kar di k jis ka driver Pakistani ho garz bus itni thi k who ham zuban hoga to tafseel say batein kar saktey hain aur woh hamein sahi tarah unn muqamaat ki tareekh bata sakta hai, laikin kismat ko kuch aur hi manzoor tha aur hamein aik Arbi taxi wala mil gya Alhamdulillah do dost Arabi zuban par uboor rakhtey hain to zyada dikkat nahi anay wali thi iss liye ussi k sath Zyartein karnay ka faisla hua.

Yeh shakhs udheer umar ka tha laikin abhi bhi phurtila tha sadgi k sath sath ba ikhlaaq bhi tha.Mausam kadrey garam tha laikin garmi zyada ihsaas nahi ho raha tha asman par kahin kahin baadal bhi nazar aa rahey thay socha shayid Madinah ki baarish bhi dekhnay ko mil jaye laikin aisa kuch hua nahi , kher hamari pehli zyarat Masjid-Sabein thi  yahan Hazrat Ali (RA) , Hazrat Umar Bin Al Khattab (RA), Hazrat Fatima (RA) aur Hazrat Salman Farisi (RA) ki masjidein hain jis ko Saudi hakoomat nain band kar diya k wahan bidda’t na ho sakein ab inn masjidon ko sirf bahir say hi dekha ja sakta tha. Kareeb hi who muqaam hai jahan Gazwa-e-Khandaq pesh aya tha laikin who jaga jahan khandaq khodi gyee thi ab uss jaga par sadak ban chuki hai buhut si nishanian ab jadeed tarz akhtiar kar chuki hai aur apni asal haalat main nahi hain.

Masjid-e-Sabein k baad ham loug Masjid-e-Quba puhnchay jo Islam ki pehli Masjid hai mashAllah  Allah nain apni Masjidon ko aik alag hi ronaq bakhshi hai andar qadam rakhtey hi Khuda ki wahdaniyat ka yaqeen aur pukhta hota hai.

Masjid-e-Quba dekh lainay k baad ham Masjid-e-Qiblatein puhnchey yeh woh Masjid hai jahan duraan-e-Namaz Allah nain Nabi (SAW) ko Qibla rukh Kaa’ba ki taraf karnay ka hukam diya tha.Yeh Masjid qadrey unchayi par hai aur yahan aaj kal Aalim deeni taleem detey hain .

Alhamdulillah ab tak tamam kaam buhut achi tarah anjaam pa chukey thay aur wapsi ka plan kia ja raha tha sab nain wapis hotel main aa kar apna apna saman sameta aur Masjid-e-Nabwi ka rukh kiya k baaqi ka jitna bhi waqt hai Masjid main guzara jaye Isha ki namaz ada karnay k baad ab ham wapis Dubai ka rukh karnay walay thay hamara yahan say rasta ghar tak koi 2200 KM ka tha aik baar itnay lambay safar ka soch kar waisay hi dil beth sa jata tha kuon k wapis ab usi duniya main jana tha jahan roz marra k kaam aur dunyaawi takazay pura karna zyada aham samjha jata hai laikin shayid iss ka naam zindagi hai aur akhir hamein deen k sath duniya bhi sambhalni hai.

Raat k 10:30 k kareeb ham nain Madinah ko Allah hafiz bola aur safar shuru kar dia pahla stop hamara Saudi ka daar-ul-hukamat Riyadh tha jahan hamarey mutaabiq hamein subah 9 bajay puhanch jana chahiye tha laikin subah 7 bajay hamari car main highway par hamara sath chor gyi , car ka radiator leak kar gya tha aur car band ho chuki thi kisi k guman main bhi nahi tha k aisa ho jaye ga laikin Khuda ko kuch aur hi manzoor tha takreeban 1 ghantay baad hamari madad ko Allah nain highway police ko bheja jahan recovery van par car ko load kar k kareeb k aik shehar Majmah ley aye rastey main sab nain Astaghfar parha k shayid ham say janay ya anjanay main koi aisi galti na ho gyee ho jis par Allah nain hamein iss azmaish main daala hai.

Aur hamari dua qubool ho gyee hai iss ka yaqeen hamein ain uss waqt hua jab hamein apnay hi mulk k mechanic miley jinhon nain na bus hamarey dupeher k khanay ka ihtamam kiya balkay kush der sastanay k liye apnay room main bhi lay gye Khuda unn ko unn ki neki ka ajar dey beyshak duniya main abhi bhi Allah k neik banday mojood hain aur Allah aap ki madad k liye kaisay kaisay zariye bana deta hai insaani aqal is ko sochnay say qaasir hai.


Madinah say chaley huey hamein 17 ghantay ho chaley thay aur abhi bhi takreeban 16 ghantay ka safar baaqi tha kisi bhi haal yeh safar to karna hi tha laikin safar k sath sath ham english wala suffer bhi kar chukey thay shaam aur puri raat k lambay safar k baad ham loug Alhamdulillah kheriat say UAE border par puhanch chukey thay ankhein neend say band ho rahee thin laikin abhi bhi 4 ghantay ka waqt darkaar tha immigration k zaroori taqazay purey kartey huey bil akhir ham ghar puhanch gye sab nain Allah ka shukar ada kia.

Allah Pak say dua hai k hamein muaaf farmaye agar iss purey safar main ham say koi galti janay ya anjanay main ho gyee ho aur dunia k tamam Musalmano ko uss k ghar ki zyarat ka moqa farmaye aur mujh say kahin agar kisi jaga iss safar k likhnay main koi galti ho gyee ho to uss par bhi mujhey muaaf farmaye. Ameen     

Comments

Popular Posts