Rishton Pay Nishan-E-Siyah

......haan kuch aisay hi rishtey khatam hotey hotey uss naazuk mour par atay hain jab talkhian iss hadd tak barh jatee hain k sirf aik doosrey ko dekh kar chehron k rukh mamool-e-zindagi ki taraf barh jatey hain.

Dosti sirf khayalaat mil janay ka naam nahi hota woh aaj bhi merey paas apnay dost ki shikayat lay kar aya tha aur main usay aaj bhi yehi samjha raha tha k shikaytein jab tak apis main na ki jayein talkhian aur doorian barhti jatee hain magar kon samjhata uss ziddy ko jo sirf apni hi baat manwanay ko koi kaarnama samjhta tha.

laikin kabhi kabhaar mujhey uss ki baton say sachai ki khushboo bhi atee thi , lagta tha k woh sacha hai magar ,kuon k mujhey uss ki har baat ka jawab kisi daleel say dena hota tha iss liye sirf usski baat sun kar kabhi koi mashwara na deta tha laikin phir achanak uss nain milna chor diya akhir baar jab mila tha to kah raha tha yaar yeh loug to aisay hain jaisay "rishton par sayah nishaan" lagta tha beyzaar ho gya tha duniya k banaye huye naaqas rishton say jahan sirf zaati mufaad k liye hath milaye jatey hain aur jaisay hi kaam nikalta hai loug asiay gayab hotey hain jaisay gadhey k sar say seengh.

Khair yeh rasm-e-dunia hai chalti rehti hai akela insaan akela hota hai laikin galti  tab karta hai jab kamzor saharon ko mazboot samajh laita hai halan kay mazboot aur mukammal to sirf Khuda ki zaat hai...................

Comments

Popular Posts