Aik Lamhey Ki Khushi Zarbey Zindagi


Aap nain buhut say loug aisay dekhey hongay jo k sab kuch honay k bawajood bhi yeh shikwa rakhety hain k bus zindagi chal rahi hai , guzaar rahey hain , theek hai wagera wagera.Khuda ki har neamat honay k bawajood bhi Uss ka shukar baja nahi latey.

Aur iss k baraqs main nay aisay loug bhi dekhey hain jo har haal main Khuda ka shukar ada kartey hain apnay mehdood say wasaeel main khush rahtay hain aur apnay qareeb rehnay walon ko khush kartey hain,shayid unhein duniya haasil karnay ki bhook nahi hoti.

Meri nazar main yehi loug kamyaab hain jo apni khushian bari aur namumkin cheezon main nahi dhoondhtey balkay choti aur mumkin cheezon main dhoondtay hain yehi woh log hain jo rishton ki ahmiat aur unn ka lehaaz rakhtey hain, inn k khush rehnay ka formula bus yehi hai k "woh choti si khushi ko bhi puri zindagi k gamoun say zarab dey kar poori zindagi ko khushgawar bana laitay hain".

Meri dua hai Khuda hamein bhi uss ka Shukar ada karnay wala bana dey ta k hamari bhi duniya aur  akhirat sanwar jaye. Ameen

Comments

Popular Posts