Rehmaton Ka Mahina
Ramadan ,
Islami mahinon main say aik aisa Mahina jo apni misaal aap hai , woh Mahina k jiss main rehmaton ka nazool barish ki shakal main hota hai.Ramadan ki aamad aamad hai aur har taraf iss ki tyaarian shuroo ho chuki hain.Hukoomti dafaater main naye waqt k circulars dey diye gye hain taa kay iss muqaddas mahinay ko bharpoor josh-o-jazbey k sath manaya jaye.
Waisay to Ramadan k iss mahinay ko buhut si daana baton say mansoob kia jata hai jis main mein apnay khayalaat ka izafa karna chahta hoon , merey nazdeek har saal Ramadan ki naimton aur fazeelton say faida uthanay ka moqa unn ko hi mil paata hai jo iss k liye shouq rakhtey hain, shouq rakhnay say muraad woh loug hain jo baqaeda Ramadan ki zimma dari puri kartey hain yeh woh log hain jo na sirf Ibaadat-e-Khudawandi main koi kasar chortey hain balkay Uss k bandon k haqooq bhi mukammal tor par poorey kartey hain.
Kya ham aisay logon main shaamil hain ???
Kuoon k Khuda ko to woh log pasand hain jo Deen aur Dunia ko sath sath lay kar chalein , kisi aik par pura na utarna nakaamyabi k mutraadif hai.
Qissa mukhtisar yeh k agar Allah hamein Ramadan ka yey ba barkat Mahina ataa kar raha hai to hamein chaiye k apnay deen aur duniya dono ki Islah kar lein mumkin hai Khuda hamari islah ko pasand kar k hamari akhirat ko asaan farma dey, aur koshish yeh karein k jitna ho sakey iss mahinay ki rehmaton ko samet lain na k gunaahon k bojh ko, kuoon k jahan iss mahinay ki rehmatein zarbein khati hain wahan iss mahinay main honay wali sar zad galtian bhi barhti jati hain.
Dua hai k Allah hamari ibadaat ko qubool farmaye.
Ameen , Ya Rab-ul-Aalmeen
Ramadan Mubarak !
Comments
Post a Comment