Pichlay Peher Ki Baat.... !!!
... Raat k 12:45 ho rahey hain , waqt par so janay kay waaday ko aaj phir wafa nahi kar saka , socha neend to aa nahi rahi kuon na woh likhun jo buhut aam hai laikin main nay kabhi iss barey main likha nahi.
Internet ki Duniya ajeeb hoti hai jahan aap kay qareebi doston kay sath sath aap ko door draaz kay mulkon main bethey dost bhi mil jatay hain jo aap kay haqeeqi behen bhaion kay ilaawa bhi unn ki tadaad barha detey hain, aap kay sath un ka rishta sirf chand lamhon ya ghanton k liye din main haqeeqat banta hai jab woh aap say Online milein.
Aap unn say kabhi hi shayid haqeeqat main milein warna dunia main masroof to sab say zyada aap kay kareeb rehnay walay log hotey hain unn hazaaron meel door bethnay walon say kya gila milnay ka.Laikin inn Internet kay wastey say banay doston main say kuch buhut khaas ban jatey hain jin say aap hamesha apni dil ki baat kah saktey hain , naseehat lay saktey aur mukhtalif maslon main unn ki raye mang saktey hain.
Inn muu bolay rishton main shayid haqeeqat ka rang kabhi na aa sakey LAIKIN inn main pehchaan buhut zaroori hai , jab insan ko insan ko parakhnay ki salahiyat mil jati hai meri nazar main woh kamyaab ho jata hai.Main nay hamesha apni zindagi ko mehdood wasayel aur mehdood had tak rakha hai issi liye aaj merey paas buhut kamm Internet friends hain kuon k waqtan fa-waqtan unn main say chaanti ka silsila jari raha hai aur rahey ga ...aaj merey gird buhut kam log laikin haqeeqtan ihsaas rakhnay walay loug hain.
Jo na sirf aap say jurey rishton ko lafzi ma'non main nibhatey hain balkay amli tor par iss ko saabit bhi kartey hain.Meri itni lambi tamheed faqat sirf neechay ki aik line kay liye hai.
"..... I always pray to Allah for you by saying your name."
Particular this line made me to Thank Allah for granting me such people in my life who are not always there just by their words but actually prove their existence in real.
I'll remain in debt for life for people like you , I value your concern and be always my friends.
Comments
Post a Comment